Khatra hai zar daron ko
Girti hui diwaron ko
Sadiyon ke bimaron ko
Khatre mein Islam nahin
Sari zamin ko ghere hue hain
aakhir chand gharane kyon
Naam nabi ka lene wale ulfat se
begane kyon
Khatra hai khun khwaron ko
Rang birangi karon ko
Amrika ke pyaron ko
Khatre mein Islam nahin
Aaj hamare naaron se larza hai
bapa aiwanon mein
Bik na sakenge hasrat-o arman
unchi saji dukanon mein
Khatra hai bat maron ko
Maghrib ke bazaron ko
Choron ko makkaron ko
Khatre mein Islam nahin
Amn ka parcham le kar utho
har insane se piyar karo
Aprna to manshoor hai Jalib,
sare jahan se pyar karo
Khatra hai darbaron ko
Shahon ke ghamkhwaron ko
Nawabon, ghaddaron ko
Khatre mein Islam nahin
by The Great HABIB JALIB
Girti hui diwaron ko
Sadiyon ke bimaron ko
Khatre mein Islam nahin
Sari zamin ko ghere hue hain
aakhir chand gharane kyon
Naam nabi ka lene wale ulfat se
begane kyon
Khatra hai khun khwaron ko
Rang birangi karon ko
Amrika ke pyaron ko
Khatre mein Islam nahin
Aaj hamare naaron se larza hai
bapa aiwanon mein
Bik na sakenge hasrat-o arman
unchi saji dukanon mein
Khatra hai bat maron ko
Maghrib ke bazaron ko
Choron ko makkaron ko
Khatre mein Islam nahin
Amn ka parcham le kar utho
har insane se piyar karo
Aprna to manshoor hai Jalib,
sare jahan se pyar karo
Khatra hai darbaron ko
Shahon ke ghamkhwaron ko
Nawabon, ghaddaron ko
Khatre mein Islam nahin
by The Great HABIB JALIB
No comments:
Post a Comment